Pregnancy Test at Home in Hindi, Garbhashay ke starting ke jo lakshan hote hai jese ulti hona, Pith me dard hona, Periods ka Miss hona jese kuch sararik badlab dikhne par aurato me ye jaanne ki jigyasa badh jati hai ki wo pregnant hai ya nahi ? Issi liye aaj is Article me kuch tarike batane wali hu jisme aap ghar ki hi chijo ka use karke pata kar sakti hai ki aap sahi me garvbati hai ya kuch or hi karan hai without Pregnancy Test Kit.
Agar aap Pregnant nahi hona chaiti to aapko pata hona jaruri hai ki Pregnant hone se kaise bache or agar galti se Pregnant ho jaye to uske baad kya kare, iski puri jankari ke liye aap hamari ye post read jarur kare:
- Pregnancy Rokne ke Gharelu Upay or Tips in Hindi
- Uncahi Pregnancy Rokne ke Liye Tablet or Goli ki Jankari Hindi me
- Pregnancy Rokne ke Liye Tablet(Goli): Birth Control Pills ki Jankari
Pregnancy Test karne se phele kuch bate jo aapko yaad rakhni hai, aap koi bhi Pregnancy test kare ghar par, in bato ka khayal rakhna bhut jaruri hai:
- Dhiyan rahe ghar par Pregnancy test karne ke 3 ghante phele se aapko toilet nahi jana hai. Q ki Pregnancy test karne ke liye urine ka hi sample liya jata hai. urine me mojud HGG hormones se hi pata lagta hai ki pregnant hai ya nahi.
- Gharelu Pregnancy test ke liye aap jo bhi samaj use kare uska safai ka achi se dhiyan rakhe.
- Ghar par Pregnancy test log bhut phele se use karte aa rahe hai, Fir bhi 100% conform karne ke liye aap doctor se jarur consult kare.
- Pregnancy test agar Negative aaye to uske 72 ghanto baad hi Double se test kare.
- Agar Periods nahi aaye ho or test negative aaye to stri rog visesagya se jarur mile.
Pregnancy Test at Home in Hindi
To chaliye dekh lete hai pregnancy test in hindi information ke sath, jisme ham ghar me use hone wale samano ki hi madad se pata laga sakte hai Pregnant hai ya nahi.
1: Pregnancy Test at Home with Toothpaste in Hindi
Is Gharelu Pregnancy test ke liye aapko white color ka toothpaste ki jarurat padegi. Test karne ke liye subha ka sabse phela urine aap disposal me rakh le, q ki subha ke sabse pheli urine me HGG harmonies ki matra bhut jada hoti hai jisse pregnancy test ka sahi result aane ke chance bhut jada hote hai.
Ab urine ke warawar Toothpaste milaye or usko achi se mix kare. Agar thodi der baad usme jhag aane lage or uska rang nila ho ye to iska matlab hai test Positive hai. Or agar Mix karne par kuch nahi hota to aap Pregnant nahi hai.
2: Bleach se Pregnancy test kare
Dispojal me thoda Bleach powder le or usme urine ka sample mix kare. Agar mix karne ke baad bulbule dikhai diye to Test Positive hai, or wo pregnant hone ke sanket hai..
3: Pregnancy Test with Vinegar in Hindi
Thodi matra me vinegar le or usme urine ka sample mix kare. Agar mix karne se vinegar ka color badalta hai, to ho sakta hai aap pregnant hai.
4: Kach ke Glass se Pregnancy test kare
Kach ke glass me urine dale, kuch der baad agar urine par safed parat ban jaye, To iska matlab test positive hai.
5: Pregnancy Test with Sugar: Chini se Pregnancy test
Sugar me thoda urine ka sample mix kare. agar sugar ghulne ke bajaye ek ghucha ban jaye to ye iisara pregnant hone ke taraf hai.
6: Pregnancy Test with Soap : Sabun se Pregnancy test kare
Sabun or Urine ko mix kare. Thodi der baad agar sabun bulbule banane lage, to iska matlab hai pregnancy test positive hai.
7: Dandelion ki pattiyo se Pregnancy test kare
Dandelion ki pattiyo ko ek packet me badh kar jamin par rakhe, dhiyan rahe suraj ki kirne nahi padni chaiye inpar. Ab Urine ki kuch budhe inpar dale, 10 minute me red color ke bobbles ban jaye to Pregnancy test Positive hai.
8: Pregnancy Test with Dettol kaise kare
Pregnancy Test with Dettol se karne ke liye ek bottle me 15 ml urine or utna hi dettol le, fir unko achi trha se mix karle. Thodi der baad, Dettol or Urine jo mix ho gaye the, wo alag alag ho jate hai or Urine, Dettol ke upar tel ki trha terta hai to matlab aap samaj lijiye aap pregnant hai. Lekin agar iski bajaye agar Dettol or Urine aapas bhi achi se ghul jaye or dhoodh ki trha safed ho jaye to samaj lijiye Pregnancy Test Negative hai.
9: Pine Sol se Pregnancy test kare
Pine sol ek Cleaner ki trha use kiya jata hai jo kisi bhi dukan par aaram se mil jayega. Barabar matra me Pine Sol or Urine ko mix kare. Thodi der baad agar Mixture ka color badal jaye to ye test aapko Pregnant hone ki taraf isara karta hai.
10: Pregnancy Test by Baking Soda in Hindi
2 chammach baking soda or 1 chammach urine ko milaye or thodi der baad agar isme bulbule aane lage to samaj lijiye pregnancy test positive hai.
11: Pregnancy Test Kit se Pregnancy Test kaise kare
Pregnancy Test Kit ko use karne ka tarika alag alag hota hai..
Bhut se test kit me sirf kuch patti hoti hai jispar urine karna hota hai, Kuch me phele urine ko kisi cup me karna hota hai fir usme strip ko dubana padta hai. Ya fir sath me Droper bhi dete hai jiski madad se Strip par Urine ki drop girana padta hai.
Test ka result kis trha aata hai wo bhi alag alag tarike hai, Kuch me gulabi ya nili line dikhai deti hai. Kuch me Plus (+) ya negative (-) dikhai deta hai, ya fir urine ka color change hota hai. Digital Test me “Pregnant” ya “no Pregnant” likha huaa aata hai, or kuch me to ye bhi bata dete hai ki aap kitne din phele Pregnant huee hai.
Ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi or aap ab aasani se ghar par ni apni Pregnancy ka test karke pata laga payege ki aap Pregnant hai ya nahi.
Apni shehat ka khayal rakhe or khus rahe, or jada jankari ke liye DrBlog ki dusri Post bhi Jarur read kare. 🙂
Thank you ma’am, aapke bataye tarike me se mene 2 3 try kiye or result positive hai.. Me bhut khud hu.. Aapko dil se thanks iss jankari ke liye ..
Congratulation, 🙂
Mam meri gf ko maine prega mews se chek kari to usme ek pink line aayi hai kya wo pregnant hai
Agar ha to kaise is.prblm ko solf kare plss reply me
Mam meri gf ki maine prega news se check kiya hai to usme ek pink line aayi hai to kya wo pregnant hai hame sex kare hue 15 din ho gaye hame abhi baby nhi chahiye kyuki next year nov mai hamari shaadi fix ki gayi hai but abhi ye sab ho gaya aap koi solution dijiye
30 din ka bachha girane ki goli ka name
Meri gf 1 month ki pragnent h uske lye koi tablet ka name btao plzz reply fast krna
abhi tak hum pregnancy ko test karne ke liye missed periods aur doctor ke tests ko hi best alternative maante they lakin aapka article padne ke baad hum yeh ab apne ghar par hi kar sakte hai woh bhi bina paisa kharch kiye aur test results be bilkul accurate…
Wow…. that’s really great news for newly wed girls and to be mothers.
मेरी gf 2mah ki pregnent hai usko bahut ulti ho rahi hai..
Jiske karan use kit nahi khila paraha hu kya kre.
Reply fast
Mujhe preganacy ka pta ni chal paa rha hai. Main inn tariko mai se kaunsa gharelu upay apnau. …….mere periods miss hue 3din ho gye h………mujhe tension ho ri h ki mai pregnant ho paugi. Maine test ki before expected date…..
thank you mam. apke btaye gharelu upayo se Maine 2-3 bar try kiya to result positive aya thank you so much Mam..
Sir meri gf ka 4 mahine se mc nhi hua hai but use kuch problem nhi hai vas thora kjori hsi jiske wjh se uske kamar ke side me dard hai. To ky wo pregnant hi. Plse jaldi kuch reply do
Sir meri gf ka 4 mahine semc nhi hua hai but usko sirf kamar ke side me dard hota hi.so kya wo pregnant hi.plse jldi reply do
pregnancy planning is one way to help ensure that your baby has the greatest chance of having good health..
thank you maam aapne itne simple trike bata diye..or vo bhi asi hindi me arram se samjh me aaje.