human papilloma virus kya hai , hpv ke lakshan or ilaj
human papilliona virus yani ki hpv ek bohot hi samanya sankraman hai jo ki mahila or pursho dono may sex karne ki wajha se feylta hai .hpv key har sal kam se kam 14 million new cases samne atey hai.
human papilliona virus koi ek virus nhi hai iski 100 se adhik prajatiya pai gai hai , jo ki alag alag infections key liye jani jati hai.
jesa ki may bta chuki hu ki hpv bohot samnya infection hota hai , har insan ki life may kisi na kisi stage par hpv se infected hota hai , kuch logo may hpv apney symptoms dikhata hai or kuch logo ko to pata hi nhi chalta ki unko kabhi hpv se sankraman hua tha .hpv se infection jyadtar jawan logo may hota hai kuki is age may body immunity nhi bana pati hai hpv key liye , jo ki older age may khiod ba khood bn jati hai.
Human papilloma virus kya hota hai
human papillioma virues infection skin to skin feylta hai matlb ek person se dusrey ko skin key through ho sakta hai ya to sex kartey time ya to kisi or skin contact ki wajha se.Jo virus galey or mouth key infection ka karan hotey hai wo oral sex ya mouth kissing karne se faiyl saktey hai.hpv ka khatra jab baad jata hai agar kisi key ek se jyada sex patner ho.
jesa ki apko abhi tak ye pata vhal gaya hai ki hpv skin to skin feyllta hai or ye sex key through bhi feyl sakta hai.HPV jyadatar koi symptoms show nhi karta hai or khood hi theek ho jata hai.kuch cases may dekha gaya hai ki hpv us insan may to infection nhi karta hai jis key andar wo hai (isko kehtey hai hpv ki dormant stage)par jese hi uskey sex patner may pohochta hai us new patner may wo sankraman kar deyta hai .
hpv birth key time ma se bacchyey ko bhi ho sakta hai.
human papillioma virues key lakshan(symptomps)
wese to hpv khood se theek ho jata hai par jab iska risk bbad jata hai to iskey symptomps warts(massa) key rop may samne aatey hai jese ki genital warts (jannang massa) ,agar kisi ko genital warts hai to wo ek funsi ki tarha skin par ubhar ki tarha dikheyga ye chta sa lump se ley key gobhi key size ka ho sakta hai ,or ye baad may chal key cancer key roop may bhi tabdil ho sakta hai.
mahilao may hpv se sankramit hone waley parts
- vulva(yoni)
- cervix( garbhshiya grev)
- vagina
pursho may hpv sankramit hone waley part
- penis
- scrotum
- anus
flat warts ,baccho ,nojavan or bado may dekne ko milta hai ,ye chaptey dhabbey hotey hai skin par jo skin colour se thoda dark hotey hai.
human papilliona virus ka diagnoses
agar apki skin par kahi sarey massey hai to doctor bina kisi test key bta dega ki apko hpv ka infection hai.agar jyada serious case hota hai to doctor test karwane ko kahega jesi ki pap semar test ya dna test .
pap semar test may infectio wali jagha se thoda sa tissue liya jata hai or fir usko lab may test kiya jata hai ye deke key liye ki infected cells may koi abnormalty to nhi aai hai,ya cancer key koi lkshan to nhi hai .jin mahilao may high risk hpv positive ata hai unko colposcopy test karwane ko kaha ja sakta hai .
human papillioma virus ka ilaz
normally to hpv medicens ki mada se theek ho jata hai oar kuvh cases may surgery karni apdti hai, cahliye jantey hai kuch treatments jo hpv ki wajha se hue warts ko theek karne may madad kartey hai .
1.laser threapy: is treatment may warts key upar light ka ek beam dala jata hai jiski wajha se warts khatam ho jatey hai.
2.Electrocautery: is method may electricity ka istmal kartey hai warts ko jalane key liye.
3. Cryotherapy: is method may liquid nitrogen ka istmal hota hai infectead area ko freez karne key liye jisey ki infection as pas ki jagh may nhi feylta hai.
human pappilioma virus se keyse bacha jae
1.Cervarix or Gardasil do eysi vacciens hai jo hpv key karan hone wali bimariyo or cancer ko rokne may madad karti hai .In do vacciences ki madad se aphpv key infection ko rok saktey ho .
2.agar condome ka use kiya je sex key time to hpv key feylne key chances kam ho saktey hai .
3.multiple sex patner na rakhey .
agar ap upar di gai sawdhaniya barteyngey to apko is virues key sankraman ka dar nhi hoga , apni life may in choti bato ka dhyan rakehy or ek happy or healthy life jiey.
may umid karti hu ki apko meri di hui jankarni informative lagi hogi agar lagi hai to fatak se sharwe karey or commets box may apney sujhaw daley mujhey acha lageyga apkey sujahw jann kar.
Mujhe haath, pair,aur chin se niche thode warts ho gaye hai mujhe kya karna chahiye.
Mene apni post may btaya hai Ki Ye theek ho jatey hai, but agar apko inhey or jyada failne Se rokna hai to apko Doctor Ko consult Kar cahiye
Mere hat pr aur sir pr he koi cream btao jane ke lie
Meri partner Ko HPV 52 n 59 test me positive Aya he. Kya mujhe bhi ye test karwana chaiye? Par mujhe kisi bhi tarah ki koi bemari nhe he or nahe koi warts he skin par. Please consult me
Thank you in advance and looking forward for your reply
Mam Maine 1o month pahle ek call girl se anjane main sex kar liya unprotected sex sex ke 10 din baad mujhe penis ke andar tez dard hone laga Maine ek dermatologist ko dikhaya usne mera HIV aur vdrl test kiya Jo negative aaya aur treatment kiya par relief nahi Mila mujhe aur dikkat suru ho gayi already headche ,evening time chills , already penis pain ,muh ka test kharab rahta hai Maine kayi dr ko dikha chuka hoon ab 11 month ho gaye par sahi nahi hua mujhe ye bataiye ki hpv infection ka pata kon se test se chalta hai
Daad treatment
Fungal
muje HPV virus ki waja se genetial wall & anal walls m bahot sare wart ageya.
ab m konsa doctor k pass jau matlb jaldi or andar se thik ho jaungi
Homeopathic or Elepethic or aurbedik ??????????
apka mobile no milaga . mujko kuch baat karni hai mera mobile no 8795753676
Sir /mam Maine 1 year pahle ek anjan girl se sex kar liya aur sex unprotected kar liya aur sex ke 10 din baad mere penis ke andar tez dard hone laga Maine dermatologist ko dikhya unhone mera treatment start kar Diya par koi asar nahi hua mera HIV and vdrl negative hai 1 year ho gaye par koi Dr ye nahi jaan paya Kon sa infaction hai kya HPV infaction penis ke andar ho sakta hai kya es infaction se headache and chills hota hai