Chilchilati garmi k baad barish ki fuhar may bhegney ka alag hi maja hota h par us moj masti k beech ham ye bhul jatey h ki us barish k pani sey hamarey balo ko nuksan ho sakta h uski wajha se hamarey balo ki chamak chali jati h or balo may rusi(Dandruff ) aajati h to chaley jantey h ki is barish k Mosam may apney balo ka khayal keyse rakhey
Rusi(Dandruff ) hoti kya hai
Barish k Mosam atey hi umas baad jati h or isi umas k karan hamarey balo may rusi(Dandruff ) ajati h , kuch logo ko eysa lagta h ki garmi k Mosam may balo may rusi ati h par eysa nhi h,jab umas badti h to hamarey balo may cheepchepa pan ajata h or iski wajha se hamarey balo ko or scalp ko nuksan hota h or wo dull ho jatey h
Rusi(Dandruff ) hoti kab h or ku hoti h
Balo ki rusi(Dandruff ) jyadatar barish k Mosam may hi hoti h .Wese to rusi(Dandruff ) hone k kai karan h par barish k Mosam may jab ham barish k pani may bheegtey h to us barish k pani may Bohot se eyse hanikarak tatv hotey h jo hamarey balo or scalp ko nukasan pohochtey h or un hanikarak tatvo ki wajha se hamarey bal rukhey or beyjan ho jatey h. Barish k Mosam may jo umas hoti h wo bhi balo ki rukhi ka dusra karan h
Dekh bhal keyse Karey Balo ki
Haftey may 2 bar Shampoo Karey
Aam tor par ham ye mantey h ki roj bal dhone se hamArey bal majbut or sundar bane get par eysa nhi h . Roj bal dhone se balo kI pareshaniyaṅ baad sakti h isi liye haftey may kam se 2 bar dhona caheye. Usey hamara scalp saff raheyga to rusi ki problem nhi aaegi
Barish may bhegney may maja to ata h par bhegney k baad hamko nahana caheye kuki agar barish ka pani balo may jyada waqt k liye laga raha to uski wajha se balo may khujli hone lagti h or ho sakta h ki us barish k pani ki wajha se balo may fungual infection ho jae
Balo may shampoo karney k time apney balo k hissab sey shampoo choose Karey Wese is Mosam may mild shampoo ka hi istemal Karey
Oil Massage Karey Hairs ki
Aj kal fashion or acha look paney k chakkar may ham log apney balo may oil nhi lagtey par jese hamarey body k liye khana khana jaruri hota h Wese hi balo ko healthy or chamakdar rakhne k liye balo may oil lagana jaruri hota h . Balo k growth or unkey Tandrust rehen k liye jo oil balo ko caheye hota h wo oil balo ki jaad se leytey h par barish may utna oil balo ko nhi mil pata or wo rukhey or beyjan ho jatey h . Isi liye oil massage barish may Bohot jaruri h
Garam nariyal tail se ham apney balo ki massage kar k balo ko comb kar ley taki oil achey se scalp par feyl jae
Garam nariyal tail may karri pattey mila kar ham balo ki oil maasage Karey to balo ki rusi(Dandruff ) bhi dur ho jaegi or bal kaley or ghaney bhi ho jaengey
Balo ki khujli dur karney k liye ham neem k oil se massage kar saktey h
Balo ko Sukha Rakhey
Barish may bal dhone k baad wo asani sey sukhtry nhi h or jyada waqt tak wo giley rahey to balo ko ki rusi(Dandruff ) baad sakti h isi liye apney balo ko ache se sukha ley or kabhi bhi giley balo ko nhi badhna caheye usey balo k andar umas or baad jaegi or fir balo ko utna hi nuksan hoga , isi liye ghar se bahar nikaltey waqt apney balo ko dhak ley taki un par barish ka pani na lagey or barish k pani k hanikarak tatv balo ko nuksan na pohocha pae
Kis Tarha ka khana khae
Balo ko rusi(Dandruff ) sey bacchye k liye sirf unki bahari dekh bhal hi kafi nhi h . Ham jo khana khaṭye h usey bhi hamarey balo par asar hota h isi liye apko eysa khana khana caheye jo protein , vitamin or minerals se bharpur ho jesi ki egg, gajar,rajma , hari sabjiya addi taki hamarey balo kI jaad majbut ho or hamarey bal majbut or sundar baney rahey
Conditioner ka Istamal Karey Balo me
Barish k Mosam may bal dhone k baad naram or chamakdar nhi dikhtey unki rusi baad jati h or wo ulajhne lagtey h isey bachne k liye hamko bal dhone k baad balo may Conditionar lagan caheye
Market may kai tarha k conditions uplabdh h ap apney balo k hisaab sey chun saktey h , balo may condition shampoo karne k baad lagaya jata h jo hamarey balo khila khila , chamakdar or soft banata h
Beer bhi ek acha conditionar hota h balo k liye , pehley beer se bal dhoe fir balo ko thandey pani sey dho ley
Sahi Haircut
Sabko lambey bal pasand hotey h par barish k Mosam may eysi haircut rakhni caheye jisko sambhalana ASan ho jismey balo ki dekh bhal karney may jyada dikkat na aae , to ap apney hisaab sey apni haircut rakhey jisko ap asani sey manage kar sakye
Gharelu Nuska balo ki dekh bhal k liye [Dandruff se chutkara pane ka]
Ye ek eysa tarika h jisey ap apney balo kI rusi ghar par hi gayab kar saktey ho or apko kisi Mehngey product ka istemal karne ki jarurat nhi
Iskey liye apko caheye :
Insab ko achey sey ek sath milae or fir apney balo may isey massage Karey or ek ghantey baad dho ley.
बालों की रूसी को दूर करने के घरेलू नुस्खे, Home Remedies for Dandruff Video
Kuch hair Care Products
- Matrix opti smoot pro- keratin
- Garnier good bye damage
- Head and shoulder cool menthol
- Teressme climate control range
- Garnier ultra blend deep nourishing shampoo
Asha h ki ye batey apkey kamm aaeṅgi or ap is monsoon may khubsoorat, soft or chamkdar bal pae jo ki apki khubasurti or nikarengey.
Bhut achi jankari share ki hai uske liye dhanybaad..
Mera ek sabal hai, mere bal bhut jada dhate hai or jab nahati hu jab to bhut jada.. Kuch upai bataiye me kya karu jo mere baal jhadna band ho jaye or majbut ho jaye.
Punam ji apko hamari post achi lagi uskey liye Thanku , or jo apki problem h hair fall ki to ap Apney hair type k hissab se shampoo use kijeye or hamari ek upcoming post h hair spa k upar ap wo try kijeyga .