Cancer ek eysa sabd hai jisko suntey hi dimag may Bohot si batey ane lagti h or kahi na kahi ye bhi ata h ki Cancer ek Jannlewa bimari hai jiska sahi ilaj nhi hua to uski waja se Mot(death) bhi ho sakti hai.
Cancer Kya hai in Hindi
Cancer ek eysi bimari hai, jismey cell out of control grow (badtey h ). hamari body ka Apna ek system hota h jismey cell bantey h grow kartey h or marr jatey h or ye mechanism hamari body may Bohot struck tarikey se follow Kiya jata h, Par jinko cancer hota h unki body k cell may ek ajeeb Baat dekhne ko milti h or wo ye h ki wo ye normal mechanics follow nhi kartey.
jinko cancer hota h unkey sharir may cell ek limited sankhya may nhi bantey h unki ek uncontrolled growth hoti h or fir in cells ko ham normal cell nhi kehtey fir unko cancerous cell kaha jata h. Jo ki agey chal k cancer ki bimari ka karan bantey h.
Cancerous cell normal cell se hi banatey h, or wo tab hota h jab normal cell k gene may kisi wajha se mutation (parivartan) ho jata h.
Jo abnormal cell hotey h (cancerous cell) wo agar ek hi jagha par divide ho kar grow kartey ho to us jaha par ek tumer bann jata h or usko ham cancer bhi boltey hai kuki jo tumer bana h usko operation k through hatay ja sakta h or usey jann ko khatra nhi rehta h.
Agar ye abnormal cell grow ho kar puri body may blood k through feyl jatey h to isko ham cancer kehtey h or isey hamari life ko khatra rehta h kuki ye body may jab feylta h to ye normal cell ko nuksan pohochata h or iska ilaj karana thoda mushkil hota h.
Cause of Cancer (Cancer ke Karan)
Cancer ek bohot amm bimari h jo kai karno se ho sakti h. World health organization k hisaab se 12.5% log eyse h jo cancer k shikar h. 4 February ko World Cancer Day bhi manaya jata hai.
Cancer ek tarha ka nhi hota h, cancer k kai prakar hotey h or alag alag cancer k hone k alag karan hotey h jesi ki:
1. Tobacco (Tambaku)
90%cancer ka Karan Tobacco hi hota h . Tamabku ek Bohot baada Karan h cancer ka . Tobacco ka sewan karne se oral cancer , lung cancer , through cancer hotey h
2. Chemicals Carcinogens
Ap soch rahey hongey ki chemical keyse cancer ka karan ho saktey h, or ye chemical carcinogens hota Kya h to thoda uskey barey may bhi jann letey h. Agar kisi bhi substance ki wajha se hamarey DNA may koi change (mutation) ata h to ham us substance ko mutagen boltey h or agar wo mutagen cancer cause karta h to ham usko carcinogen boltey h .
Kuch chemical hotey h jinsey cancer hota h to unko chemical carcinogen kaha jata h . Abestose ek eysa hi carcinogen h jisey mesothelioma nam ka cancer hota h .
3. ionizing radiation
Suraj se arahi ultravoilent radiation ho ya kisi bhi prakar ki radiation ho agar jyada time tak inkey sampark may raha jata h to ye skin cancer ka karan bann sakti h.
Jab kisi ko cancer hota h or uskey treatment k liye jab usey radiation therapy di jati h to chances h ki usko dusri type ka cancer bhi ho sakta h.
4. Viral or Bacterial infection
Cancer ka Karan virus or Bactria bhi ho saktey h jesi ki hepatitis B or C k infection ki wajha se liver cancer ho sakta h, human papilloma virus se cervical cancer hota h.
5. Immune system dysfunctioning
Agar kisi ka immune system weak hai ya HIV k infection ki wajha se kamjor hua h to usko bhi kaposi sarcoma, non hodkins lymphoma type k cancer ka khatara rehta h.
Cancer ke Type or Symptoms (Kark Rog ke Prakar or Lakshan)
Jesa ki apko pehley hi bta diya h ki cancer different type ka hota hai or sabkey symptoms bhi alag hotey h
1. Uterus Cancer
Agar pregnancy k time par uterus may koi ghav ho jata h to uska jald se jald ilaj karna caheye nhi to wo cancer ka karan wan sakta h. Legs or kamar may Dard hona iskey am lakshan maney jaty hai.
2. Liver Cancer
3. Stomach Cancer
Ye jyadatar unlogo may pae jatey h jo kam umar may jyada smoking or sharab petey h.
Lakshan:
- Stomach (pait) may hamesha Dard hona
- Kamjori hone
- Tezi se wajhan kam hona
4. Blood Cancer
Blood cancer bhi 3 type ka hota h. lukamia, lymphoma, myeloma
5. Skin Cancer
6. Prostate Cancer
- Prostate Cancer Puruso me hota hai
- Ye Cancer jada umar ke logo me hota hai
- 80% Purus ko Prostate Cancer hota hai par pata nahi hota.
7. Breast Cancer
- Breast Cancer 55-60 umar ki mahilao me jada hota hai.
- Puruso me 1% ko hota hai Breast Cancer
- Breast Cancer hone par Stan me Lump(gaanth), Nipple Change, Skin Change, Shape Change, Nipple discharge jese lakshan dekhe jate hai.
Treatment of Cancer (Cancer ka ilaj) in Hindi
Agar cancer ka sahi ilaj karna h to har ek cancerous cell ko marna padega. kisi bhi cheez ko failney se rokney k sabse acha tarika h uso shurwat may hi khatam karna, to agar cancer ka pata shru may hi lag jae to uska ilaj karna jyada asan hota h.
Kuch techniques h jinsey cancer ka treatment kiya jata hai jese ki :
- Radiotherapy : ismey radiation ki madad se cancer ka testament kiya jata h.
- Chemotherapy : is ney strong Medicine ka istmal kiya jata h cancer treatment k liye.
- Surgery : ismey operation kar k tumar ko hataya jata h.
Cancer ek boht khatarnak bimari h jiska agar sahi time par ilaj nhi kiya jae to jannlewa sawit ho sakti h isi liye time par doctor ko counsult karey or sahi treatment karwae.
Agar apko aj ki post ki jankari achi lagi to isko or logo tak bhi pohoche, do share it . Or agar apko koi doubt h to ap wo bhi puch saktey h Comment Box me.
Sources:
- www.wekipedia.com
- www.cancerdecisions.com/speeches/galen1989.html
- www.cancercenter.com
Aapne Cancer ki achi jankari di hai,
mera ek sabal hai – Mere sarir me har kabhi funsi hoti rheti hai or jo funsi hoti hai unka upar muh nahi banta.. Matlab wo andar hi gathan ki trha ban dati hai to kya ye bhi Cancer ka laksan ho sakta hai. or agar haa to please bataiye ab me kya karu.
THANKS
aap doctor ko dikhaye.. wo aapki jo funsi hoti hai.. uska test karke pata kar sakte hai ki ye jo funsi aapko ho rahi hai uska karan kya hai or unko kaiose tikh kiya jaye,, ye khoon me kharabhi ki baja se bhi hoti hai.
Hello Sir mera ek sabal hai, jo Cancer ki bimari hai wo sarir me har jagha hoti hai to kya Man ke stan me bhi hoti hai ye cancer ki bimari, please iski jankari dijiye.
Ji ha karan,cancer Stan may bhi ho sakta gai par men’s may stan cancer hone key chances kewal 1% hi hotey hai. Ap hamri breast cancer ki post bhi paad saktey hai.
madam pelase call me mujhe information leni h kuch
8198989998
Hello mujhe june2017 me teeth Nikla par abhi Tak mujhe teeth puri tarh thik nahi hua or 4 day pahle jukham hua kanshi hua phir 2day se bukhar hai mujhe bataye mam
Mam apne cancer ki achhi information di lakin kya aap humne bata skti h ki noni fruits cancer kovkhatam krne mein kaise hel0 krta h
Hello ,mam actually mujhe osmf ki problem hai to eske bare mai aap mujhe koi information nd advice de skte hai.ki mujhe kya kya medicine nd treatment lena chaiye!
Sr mere jangh me ak gilti ho gya Jo nahi to fislta h our nahi utna drad deta h please help mi sr
Hello mam mujhe June 2017 ko teeth Nikla abhi Tak
Sir pls help me I am a dibetic type 1 patient and I got nimoniya in lungs few months ago now it’s get resolved but still I am getting problem in breathing and boadyache and having pain in heart while breathing and swetting a lot. Pls suggest me what I should do???